Song- Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak (Saigal NFS) (1940) Singer-K L Saigal, Lyrics-Ghalib Aah ko chaahiye ik umra asar honay tak Kaun jeeta hai teri, Haaaan Kaun jeeta hai teri zulf ke sar honay tak Haaaan Kaun jeeta hai, Kaun jeeta hai teri zulf ke sar honay tak Haaaan, kaun jeeta hai teri Aashiqui sabr talab, haaye, Aur tamannaa betaab Aashiqui sabr talab aur tamannaa betaab Dil ka kyaa rang karoon khoon-e-jigar honay tak Haaan dil ka kyaa rang karoon Haan haan dil ka kyaa rang karoon Hum ne maanaa ke taghaaful na Haaan Hum ne maanaa ke taghaaful na karoge lekin Hum ne maanaa ke taghaaful na karoge lekin Khaak ho jaayenge Khaak ho jaayenge hum tum ko khabar honay tak Haaan khaak ho jaayenge hum tum ko khabar honay tak Haaan khaak ho jaayenge Yak nazar besh nahin Yak nazar besh nahin fursat-e-hasti gaafil Garmi-e-bazm hai Garmi-e-bazm hai ik raks-e-sharar honay tak Haaan garmi-e-bazm hai ik raks-e-sharar honay tak Haan garmi-e-bazm hai Gham-e-hasti ka asad kis se ho juz-marg ilaaj Gham-e-hasti ka asad kis se ho juz-marg ilaaj Shama har rang mein jalti hai sehar honay tak Haan shama har rang.