Do baj gaye, raat ke Phir bhi mein jaga kyun hu Waqt nikal gaya, Tu bhi nikal gayi Phir bhi mein yahan phad gaya kyun Teri aahaton ke intezaar me Suraj bhi nikal gaya Chaand taare aa bhi gaye Aur mein bewaja baitha hu Kho gaya mein tanhaaiyon me Aakhir tu bhi anjaani thi Sukoon paane ke vaaste Mein teri parchaayi ko dhoondhta kyun? Khud se mein takra gaya Poochta hu ki ab bhi pyaar hai kya Pyaar baaqi nahi hai to Dard abhi bhi kyu hai? Girta hu mein, rota kyun mein? Uthta nahi kyun mein tere bina? Teri aahaton ke intezaar me Suraj bhi nikal gaya Chaand taare aa bhi gaye Aur mein bewaja baitha hu Kho gaya mein tanhaaiyon me Aakhir tu bhi anjaani thi Sukoon paane ke vaaste Mein teri parchaayi ko dhoondhta kyun?