Chalta raha Ajnabee raasaton pe Duniya see hoke juda Jaana kahan hai Na mujhko pata hai Manzil meri lapata Sang the chale ye zameen Ye aasaaman Kabhi sooraj aur kabhi chand taaron Ka tha kaarwaan Pata waqt ka bhi na mujhko chala Hui raat kab, aur kab subha Raahein ye kaisi Hain befikar si Ki chalti hi ye jaa rahi Maana ki hoon mai Zara baavala sa Toh ye sarfiri kam nahi Ki har chourahe par Tha manzar wahi Thi char dishaayein magar Thi raahein wahi Mili yaar iske jaisi nahi Ab chode na chootega Ye saath kabhi Ki chalta raha, mai be-nishaan sa Ki badhta raha, mai be-mukaam Ki khudgarz sa, mai tha chalaa haan In raahon ne kiya, hai khud se rihaa Pata waqt ka bhi na mujhko chala Ki kab ek musafir, mai ban gaya