Chai ki katoriyon me biscuit duboye the jo Kaano me tumhare gaane woh gungunaye the jo Bhulogi kya unko kabhi Main toh nahi Aadhi raat ko omelette banaye the jo Balcony me baithke ghante bitaaye the jo Lamhe kitne the haseen woh Hai ke nahi Na na na Na na nana na Na na naaa La la lalaa Early mornings tak humne gappe ladaye the jo Online binge karke nachos khaaye the jo Bhulogi kya unko kabhi Main toh nahi Doston se chupke chupke lamhe bitaaye the jo Ek dusre ke liye gaane gaaye the jo Lamhe kitne the haseen woh Hai ke nahi Na na na Na na nana na Na na naaa La la lalaa JD ke 60-60 ml chadhaye the jo Joint ke dhuen se challe banaye the jo Bhulogi kya unko kabhi Main toh nahi Marine drive ke sunsets me haath humne thaame the jo Hauz khas fort me photos khichaaye the jo Lamhe kitne the haseen woh Hai ke nahi Chote mote jhagdon me aansu bahaye the jo Ulti seedhi harkatein karke hasaaye the jo Bhulogi kya unko kabhi Main toh nahi Samundaron ke paaniyon me cheentein udaaye the jo Ret ke gharon se apne sapne sajaaye the jo Lamhe kitne the haseen woh Hai ke nahi Kitne khaas hai yeh pal Inme jeene ka maza Phir se dohraaye Halki fulki Mastiyaan Kitne khaas hai yeh pal Inme jeene ka maza Phir se dohraaye Halki fulki Mastiyaan!