Kishore Kumar Hits

Tejani Brothers - Ya Hussain Ibn-E-Ali (As) (Vol 4) текст песни

Исполнитель: Tejani Brothers

альбом: Collection (Vol 4 - Vol 9)


(Hussain ya hussain) x4
Kullu yawmin ashura, kullu ardin karbala
(Hussain ya hussain) x2
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali,
Tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Dasht karbal me tera, laash teeron pe para,
Rorahi thi ye zami(n), aasma(n) rota raha
Haaye madar wo teri, bayn ye karti rahi,
Ay mere pyaare hussain, god me aawo zara
Sarakhat fatematah, al Hussainun qatalah,
Yarqudu alas-seham, waa Habibi waladi
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Tere asghar ka gala, tere akbar ka jigar,
Bhaayi abbas ke gham, me teri tutti kamar,
Aur paamal badan, ran me qasim ka huwa
Eik din me hi luta, karbala me tera ghar
DhubiHoo kullu baneen, tasjudu anta jabeen,
Tashkuru khaaliqaka, ya ilaaha al-azali
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Ran me talwar bina aaye Abbas e Ali,
Har taraf hamla huwa, mashke paani bhi chidi,
Ankh me teer laga aur paywast huwa,
Dono bazu ko kata, ke gira asbe jari
Wa huwa kullu al-wafa', yasrukhu bar wa samaa',
Saqat Abbas jari, min Hisaanin khashbi
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Haaye besheer tera, bezaba(n) qatl huwa,
Pyaas ke badl jisse, zulm ka teer mila
Alqama roti rahi, larzi karbal ki zami(n)
Tumne jab uska lahu, apne chehre pe mala
Wa baka nahrul furaat, raahat min jismi hayaat,
'Inda waslis sahami, 'ala Hulqoom iz-zaki
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Asr ashur ka waqt, kaise hum bhool sake
Ayi awaaze aza(n), aap gore se gire,
Khayme ke darpe teri, behn khu(n) roti rahi
Tha tera paak gala, shimr ke tegh tale
Aktubu kayfa ana, rabbuka yandhurka,
Thumma Allah yaqool, irji'ee ila rabbuki
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Aag se khayme jale, sar se chaadar bhi chhini,
Dasht me tanha Sakina teri roti rahi
Toq me bandha gaya, tere Abid ka gala,
Teri mazlum behan, berida shaam chali
Ash'alu kullul khiyam, feeha abnaaul imaam,
Udhhibu ahlan-nabi, ila qasar il-umawi
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Tere sajde se bachaa, hai namaaz aur qura(n)
Aaj masjid se jo aati hai awaaze azaa(n)
Humko karbal ne sikhaya hai jine ka hunar,
Teri qurbaani se baqi hai ye arz-o-samaa(n)
Ya imaam al-abraar, anta ya bal ahraar,
Saabirun ibn sabur, ya ameeral al-abadi
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Aaj ghar ghar hai saja, tere ghazi ka alam,
Umr bhar humko rulaata rahega tera gham
Har gali aur shahr, tera matam hai bapa
Khu(n) bahaate hi rahenge tere naam pe hum
'Umruna feeka fida, ahluna kullu laka,
Nadhkurooka sayyidee, ya Hussain ibni 'Ali
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Hai "tejani" ka qalam, aur dil nawha kunaa(n)
Ye muqaddar hi tera, kistarha hoga bayaa(n)
Jalti reyti pe para, tera laasha bekafan
Aapke paak badan, se huwa khun rawaa(n)
Jismuka fawqa turab, wa damun kullu thiyaab,
Ihtaraq jismuka min, barri wa ash-shamsi ghali
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Hussain ya hussain x2

Поcмотреть все песни артиста

Другие альбомы исполнителя

Shia

2019 · альбом

Похожие исполнители