Ek Mazak banke reh gayi hai zindagi meri Ai Khuda barsade mujh par thodhi meher teri. Aise kiya hai tune,mere har gam ko door Ki chaane laga hai mujh par,ab tera hi suroor Haath deke dosti ka,de di tune mujhe jannat Lagne laga hai jaise,poori ho rahi har mannat Hasta hai yeh jaha jispe,tune usko hasna sikha diya Aaina na dekhe jisko,Tune usko gale laga liya. Tujhe pyaar karugi jee bharke Mere dil ne yeh bola hai Mujhe tumpe bharosa hai Mujhe tumpe bharosa hai Dil ke sagar mein, pyaar ki boonde barasti jaayein Meri Dhadkan ki leher, mann tak tere pahuchna chaahein Sanson ki siyahi lekar,sapno ke rango se Tasveer banayi hai teri,Dil ki deewaron pe. Hasta hai yeh jaha jispe,tune usko hasna sikha diya Aaina na dekhe jisko,tune usko gale laga liya. Tujhe pyaar karugi jee bharke Mere dil ne yeh bola hai Mujhe tumpe bharosa hai Mujhe tumpe bharosa hai Mann ki baat tujhse kehne ka, irada pakka hai mera Phir chaahe jo bhi ho,ab toh jawaab tera Ek tarfa raha pyaar mera,chahat na huyi kam Jo na hoti tumse umeed,toh na hota mujhe itna gum. Hasta hai yeh jaha jispe,tune usko hasna sikhaya tha Aaina na dekhe jisko,tune usko gale lagaya tha. Tujhe pyar karungi jee bharke Mere dil ne yeh bola tha Mujhe tumpe bharosa tha Mujhe Tumpe bharosa tha Ab tak tujhko hi sab maana Apni ahmiyat ko kabhi na jaana. Par ab Khudko pyaar karugi jee bharke Mere dil ne yeh bola hai Mujhe khudpe bharosa hai Mujhe Khudpe bharosa hai