Jhoothi duniya Jhootha dera Jhootha hai ye jag ka phera... Moh bhi jhoothi Maya jhoothi Mrityu hai ek satya akela... Bhatak raha kyu vyarth fakeera, Na kismat kuch, na hi lakeera Udhaar ki ye zindgi hai, Sikke kitne jutayega!! Karmo ka sab khel hai jag ye... Doob ke moti payega. Jo aaya vo jayega... Baki yahi rah jayega... Jeeteji kya ant se darna Dar kar kya jeena hai jeena!! Shiv-Shiv Shiv-Shiv Shiv-Shiv Shiv-Shiv Shiv-Shiv Raja-rank ka dhong kya karna, Mitti sabka ant thikana. Teen pahar bas raushan jag ye... Phir sooraj dhal jayega. Jo aaya vo jayega. Baki yahi rah jayega Aadi hai mrityu Anant hai mrityu Khauf nahin jivant hai mrityu Jag bole ke ant hai mrityu!! Par mai bolu... Prarambh hai mrityu. Hath mein pani sa ye jeevan Pal bhar mein bah jayega. Rishte chaahe laakh bana le Chaar kandho par jayega. Kagaz ki kashti si duniya Kab tak ise bachayega... Jo aya vo jayega. Baki yahi rah jayega Swarg yahi hai nark yahi hai... Jannat dohzakh kuch fark nahi hai... Pehchan teri karm se hai... Bina karm koi tark nahi...