Maula. Maula. Hamein tera noor udhar de Maula. Maula. Maula. Maula. Abhi to yeh karz utaar de Maula. Maula. Rehmatein hum par kar adaa aye Khuda Raahatein hum par kar adaa. Hai reham hai karam tera agar Khuda Woh reham woh karam barsa aye Khuda Hai reham hai karam tera agar Khuda Woh reham woh karam barsa aye Khuda Kam se kam itna kar de aye Khuda mere Khuda Haq se jeene ka haq tu kar ataa Hai reham hai karam tera agar Khuda Woh reham woh karam barsa aye Khuda Lakshmi, Durga ki dharti Hai aaj roti bilakhti Mit gayi janani woh kahaan Baanta khareeda becha Aag se aanchal seencha Jaise koi butt bezubaan Inka sawera???? soya kahaan O Maula Inka dayar-o-dar kahaan Mere Maula tu hi bata. Hai reham hai karam tera agar Khuda Woh reham woh karam barsa aye Khuda Kam se kam itna kar de aye Khuda mere Khuda Haq se jeene ka haq tu kar ataa. Hai reham hai karam tera agar Khuda Woh reham woh karam barsa aye Khuda Tera karam hai. Tera reham hai. Ilaahe hai yahin, Mariyam yahin hai Sab mein Radha Kahin, Seeta kahin hai Par kisi mein woh Ram, Krishna kyun nahi hai Kaisi haqeeqat hai, chukaati yeh keemat hai Har kadam, har janam Jab yeh haq hai barabar ka inka MIlta inhein kyun bas ik tinka Sab hain khilona dekh tere ghar ka Phir kyun yeh khel khelein do tarfa Aasmaan inka bhi to utna hi hai O. sar uthake chalna inko bhi hai. Hai reham hai karam tera agar Khuda Woh reham woh karam barsa aye Khuda Kam se kam itna kar de aye Khuda mere Khuda Haq se jeene ka haq tu kar ataa. Hai reham hai karam tera agar Khuda Woh reham woh karam barsa aye Khuda.