Itnay likh diye gaanay kay ab likha hi nahi jaata Seh chuka hu gham kay ab khila bhi jaata Sabar kiya kafi lekin silah hi nahi ata Zindagi mein teri mera zikar hi nahi ata Halaato kay bai'is sanjeeda pehlay daur say Zakham itnay milay puchou pasandeedah kaunsay Milatay nahi nazar naa hi dekh paatay ghaur say Fikar rehti itni puchay haal kisi aur say Ab dekhte hi dekhte mai khud say hu door Hosh na hawaas tabhi milta sukoon Dekhte hi dekhte mai logo say door Hosh na hawaas tou mai khud say milu Par jab tak yaha rahengay hun Aur jab tak yaha rahega dam Phir tab tak yaha banengi baatain Phir tab tak yaha sunengein sab Maa jab dekhti shows kay posters beta jab khara houta unka stage pay Baap bhi houta hai khush dekh k podcast random page pay Sabsay bari fan banay meri family Lekin kabhi kabhi really just cant believe Mera music karna bana meri sanity Kabhi ruknay nahi wala meri guarantee Tou phir kese ab dil yeh chahega nahi Milta hai pyaar bhallay faida nahi Wou bolein yeh shareh ki jeet hai Sunu yeh baat tou mehnat hou rayega nahi Phir kese jahaan dohrayega nahi Jou gaanay tum gaatay wou gayegaa nahi Sarhad k aar aur sarhad k paar, sar hiltay gaano pay tou i can see 'Verses' mai likh kay ab thakk gaya Mujhe hai likhni tareekh Upar jab khara hun stage pay Mujhe sab dikhta bareek Tumpe jab beth'ta likhnay Kiu mai likh deta tareeef Wou puchtay rehtay hai har bar Mai bar bar bolun mai theek And I'm not in the state k likhu ab gaanay mai roz Aur kuch hi yaha bachay hai dost Tou beta yaha baatain na (nai) Betey baatain na kar yaha maathay hai shaat Dou sifar say bana dete hum 8 Sifar say leke chaley thay jou art Ab sifar hi barhtay rehtay seedhay haath Mere baray nahi jaantay tou zikar na kar Puch haal na ehwaal meri fikar na kar Mere jese tune sunay lekin dekhe na par 3 cameras tabhi leta bigger picture Ab wider perspective, I'm picturing bros Changing the pose, kuch trophy, awards Hum likh rahay tab say jab nahi tha cause Waqt leti cheezain and I'm waiting ofcourse Kabhi chaltay rehna lagay theek Kabhi chaltay gaye hum ruk Kabhi khud say na-umeed Kabhi khud say milta sukh Kabhi chaltay rehna lagey theek Kabhi chaltay gaye hum ruk Kabhi chaltay lagay ajeeb Badaltay gaye hum rukh