Kishore Kumar Hits

Sunny Khan Durrani - Azaad текст песни

Исполнитель: Sunny Khan Durrani

альбом: Azaad


Yeh kaaghaz ka dil kyun hai tera?
Jo bhi sunaa, likh diya
Ghairon se hai kya gila?
Tu meri zubaan ko na chalaa!
Tor meri zanjeeron ko tu
Jor meri tasweeron ko tu
Aisay bhala kya jiyun mein?
Aisay bhala kya jiye dil?

Aey Azaad panchi
Bol keh lab hain tere
Azaad!
Azaad hun mein!
Kya azaad hai aasmaan?

Chal rahe
Pal rahe
Wehshat me kyun tum?
Tor do ye beriyan
Qaid me kyun ho tum?
Kya rakha hai wese bhi?
Kya rakha hai wese bhi?
Pair kyun dhansay hain rait me?
Kyun betha tu par ko samait ke?
Tu bhar le uraan
(Bhar le uraan)
Kya karna azaadi ko puch ke?
Rihaa hona karke jo kooch to tera aasmaan
(Aasmaan)
Kitne kankar khaa ke ye dil abaad
Mera dar konsa mere par azaad
Aafaat ye dunya ki bethin hai ghair ke
Me raat ka hun bhatka aur ugti sawair
Meri beriyon ko tor de aur rooh ko rihaa kar
Ye behti wi rait khara pair jamaa kar
Uljhaa raha khud ko main maslon me aaj ke
Riwaaj aur samaaj se kyun aage nai jhaankte?
Qalamband karne ki kya thi wajah?
Mera kya tha gunaah aur mili kya sazaah
Gardishain thaam kitna dur jae raahi?
Is bezubaan ki yahan kon de gawaahi?
Aagahi aazmaish se guzar chuki baat ye
Parinday ne seekha kese urna hai raat me
Me haath ki lakeeron ko ragrun umeed me
Ke shaayad badal sakun me sab khel ye naseeb ke
Par kon yahan jeeta bina rooh ko gawae?
Ye dunya ke pentray bhi kissay raas aaye?
Me hoon ya nahi is sawaal me hi qaid hun
Me aajiz to nahi ke me tere zulm seh lun!
Rooh rangreza aur jism Khaaksaar
Me kalaa ka pyaasa is raigistaan me
Do chaar din ki to baat nahi dost
Ye to sadiyon ka khel hai sab waqt ke hain khot
Me roz hi larunga is murda samaaj se
Me cheekhta rahunga ke lab ye azaad hain
Me bolunga jab tak badlain na halaat
Phir faiz Sahab ki tarhan chahay salaakhon me hi band dain

Kyun Kaghaz ka dil hai mera?
Kaghaz ka dil hai tera
Hai tera

Поcмотреть все песни артиста

Другие альбомы исполнителя

Похожие исполнители

Umair

Исполнитель

JJ47

Исполнитель

JANI

Исполнитель

AHSAN

Исполнитель