Ghalat faislay, milay buray log
Mere faiz say, jalay kuray log,
Girti waqt ki rayt kese khulay log,
Mayl jol roz phr bhi bhoolay log
Dastak ruki kab tak?
Gham k paharou mai jaga hu shab tak,
Alfaaz hi nahi tou hilay nahi lab tak,
Katputli si chaal, dikhata bus kartab,
Ab matlab hi dhoondne chaltay marhalay,
Mai gaata hu ganay tou dikhtay sar hiltay,
Wou kartay hai pyaar shayad tabhi hai miltay,
Kuch pathar dil walay tou kese pighaltay,
Yeh raaz, kabhi hua faash nahi,
Itnay dekhe chehray farq parhay ab kuch khaas nahi,
Ankhou par patti, band ati awaaz nahi,
Mehsoos houta sab lekin houta ehsaas nahi,
Yeh kaghaz iss qalam ka talib hai,
Puch jakay kaun yaha pay ghalib hai,
Dhunn mai magan shareh duniya say la ilm hai,
Duniyadari bhoola bilkul bhoola apnay baray mai,
Phr bhi maine qaim rakha yaha pay apna,
Zor shor,
Awaaz teri band tera,
Sore throat,
Aur mera single track kre,
Tor phor,
Hassad tum mai bhari andits,
For sure,
Mujhse seekh akay lay tu
Hai mushkil yaha,
Koi samjhey kaha,
Wou murda hi theek,
Hum khud k gawah,
Kiya kuch kar chuka,
Kiya meri khata,
Hum rahay hai seekh,
Tu phir bhi khafa.
Sotay na tum mujhpe halki hoti agar neend,
Hotay khuwaab pooray, pockets hoti agar deep,
Na karta maaf hota teri tarah neech jo,
Na hota dil saaf lekin chahiye mujhe peace,
Khuwaab tou hazaar pooray karna mushkil,
Maan leta haar lekin main nai buzdil,
Seekhay haar k tou phir tootay kyun dil,
Aye jo bhi doubts wou kiye main ne khud kill,
Lagay dunya khilaaf mere,
Mere apnay nai sath mere,
Chand loug awaaz dete
Bas wahi mere sath kharay,
Kiya kaafi grind, nai hay diya khudkou time,
I just wanna get away,
Bananay mujhe mil,
Jiger karna nai hay chill,
Kitni zimedaariyon that I dont wanna face,
Par I'm bound to, hotay hou tum khush jab main gaun yun,
Sochun I should write songs about you,
Par nai likha jata, par someday I will,
Beshaq lafz lagen ziada,
Barhta bojh kartay adha baant lete sab,
Team rehti sath, waqt kaat lete sakht,
Hun main waqif hay tou mazil abhi door,
Par jo khudse kiye waday wou tou pooray karnay sab.
Hai mushkil yaha,
Koi samjhey kaha,
Wou murda hi theek,
Hum khud k gawah,
Kiya kuch kar chuka,
Kiya meri khata,
Hum rahay hai seekh,
Tu phir bhi khafa.
Mera yeh maan tha
Her shakhs ko lazim ek hadsaa
Esi bheed me houn me lapata
Duniya se Ghafil besaqta
Mene likhi zindagi likhi jo beeti
Wasila bnti Mosiqi
Mene likhe waqat, halaat, Zulm, wafaat
Wo jabzaat Manzil door wo they na pass
Per iske baad kiya
Wohi Umeed ka karwan
Sapno k sehra mein
Mera ek shehr abaad tha
Me ginta houn taare aur likhta houn ganey
Phr socho yeh kiya ilm baksha he khuda ne
Me Jhukjaon sajdon me prhne Shukrane
Me soota houn rkh ker kafan ko Sirhane
Mere sapne hein arsh k per me chalta houn khaak per
Jeena seekha he yeh Khuhishaat maar ker
Wo sunte mjhe hawi unke dill o dimagh per
Me thehra adeeb me Likhoun dillon me jhank ker
Me jhelun hi nahi toh khdko kahoun mard kese
Me likhoun hi nahi toh bayan kro dard kese
Qalam bebak mera kese pher yeh Hud me reh
Khanabadosh hum idher halaton ki Zud me they.
Hai mushkil yaha,
Koi samjhey kaha,
Wou murda hi theek,
Hum khud k gawah,
Kiya kuch kar chuka,
Kiya meri khata,
Hum rahay hai seekh,
Tu phir bhi khafa.
Поcмотреть все песни артиста