Teri mehfilo mein hum na ho ge Lagein gi thokarein zakham na ho ge Suna tou dein tujhay ab haal e dil ye Par Baant ke bhi gham tou kam na ho ge Tou likhne do mujhay ab hijr ki un dooriyo'n pe Kya tum parho ge marsiye meri majbooriyoo ke Ye jaltay diye rahay gawah us afsurdagi kay Iske sirhanay kitnay jaam mein ne piye ho ge Diye dard tu ne, waise dard he nai Cold world, ye dunya mujhse jalti rahi Par is qalam ko nai zawaal ye tou chalti rahi hai Karti hai kamal ye bhi Likhti hai sawaal tumse Why do you do this to me Why you (Why You?) I know tum meri nahi I do (I do) Why do you do this to me Why you (Why you) I know tum meri nahi I know tum meri nahi Lamhay thehray hue jaanay na den Ghadi udaas, lage pyaas wo bujhaane na de Lahu itna garam k ye kaghaz ab bahanay na den Wuhi phool kaantay, jab jaagay tum sirhaane na thay Dhundte thikanay ye awaaz meri goonjti Sawaal kare tujhse kyun ab haal bhi nai puchti Ho chuke behaal, tou woh mere baaray sochti Kalam kamaan in lafzon ko kese rokti Zulfon mai uljhay teri, shayari kia khaak karen Mu pe anjan banay, fursat mai yaad karay Zakhm ye taazay maslahat yehi na baat karain Aaj bhi log in lafzon ke mohtaaj rahen Kia likhu ab in faaslon pe Shayad hi kabhi milengay phir un raaston pe Bhatkay musaafir jee rahay hain tere aasron pe Karoge tum bhi yaad jab bhi saans lo ge Why do you do this to me Why you (Why you) I know tum meri nahi I do (I do) Why do you do this to me Why you (Why you) I know tum meri nahi I know tum meri nahi Abhi farmaan aya hai wahan se Ke hat jau mein apne darmiyan se Samajh mein zindagi aye kahan se Parhi hai ye ibaarat darmiyaan se Zamana tha wo dil ki zindagi ka Teri furqat ke din lau kahan se Fala'n se thi ghazal behtar fala'n ki Fala'n ke zakham achay thay fala'n se Jalla do khat mere wo shayeriya'n raakh karo Fursat na thi tumhein ab furqat mein yaad karo Goonjay har taraf ab meri meri he khamoshiya'n Tum dheemay lehjo mein ab bin kahay baat karo Jab ho sakay tumse tum kardete sab faramosh Ye dil samandar ispe maujo ka aik bara bojh Mein rooh posh, ye industry nai meri dost Na mujhay uska nasha, na usay mera hosh Why do you do this to me Why you (why you) I know tum meri nahi I do (I do) Why do you do this to me Why you (Why you) I know tum meri nahi I know tum meri nahi