Kaalay baadlon se chaand yun Kisko hai zameen pe taakta Niklay rom rom se khushi Layke aansunon ka raasta Door ik nadi ke shor mein Behti hai rawaan zindagi Manchali hawa mein jhoomti Raat ye kahay, "aane wali ab subha hai" Ankhon mein jo roshni hai Aane wala kal haseen hai Intezaar jiska tha vo hai aagaya Chahe jesi bhi dagar ho Khouf ho na ab fikar ho Humsafar qaraar dil ko dila gaya Ek ehsaas hai, sardiyon ki dhoop si naram Thaamay haath yun Aik doosray ke saath hum Paar us nadi ke waqt bhi Muntazir hai raah mein khara Manchali hawa ke dosh pe, rakh ke hum qadam Ur chalein naye jahan mein Ankhon mein jo roshni hai Aane wala kal haseen hai Intezaar jiska tha vo hai aagaya Chahe jesi bhi dagar ho Khouf ho na ab fikar ho Humsafar qaraar dil ko dila gaya