Kishore Kumar Hits

Hassan & Roshaan - Zulm текст песни

Исполнитель: Hassan & Roshaan

альбом: Chaar Dinon Ka Khwaab


Shor tha jahaan aik din wahaan rah kioon weeran
Rung thay jahaan aik din wahaan kioon berangian
Soch thi azaad jo kabhi keyd kioon hoyi haan
Kho gaya hai waqt vo kahan dhoond lein usey yaar
Bara mushkil hai iss dunya
Mein dil ki rah pe chalna
Udhar hain khof ke pehre
Unhein hain tor ke chalna
Iss zulm se larna hai tou
Uth baandh kamar kia darta hai
Phir dekh khuda kia karta hai
Uth baandh kamar kia karta hai
Uth baandh kamar kia darta hai
Kioon kisi ki dor mein chalein bebassi hai ye kia
Kioon ubharta dard ham sahein sard har lamha
Waqt ye baki hai jo abhi dhoondlein vahi rah
Raastah jo dil ka tha kabhi phir se chal parein haan
Agar sunli meine inki
Tou saari zindagi meri
Guzar jaye gi iss dar mein
Na ho jaye ruswah koi
Iss zulm se larna hai tou
Uth baandh kamar kia darta hai
Phir dekh khuda kia karta hai
(Iss zulm se larna hai tou)
Uth baandh kamar kia darta hai
(Iss zulm se larna hai tou)
Uth baandh kamar kia darta hai
Chal chotay tum kioon rotay
Dil mein bhara jab junoon tou koi kioon roke
Kho ke paya khud ko
Andar sheyr ki dhaar hai
Iss galey mein koi chain nahi kaanton ke haar hain
Chahat undar ho jab urnein ko
Tou milti baatein bohot sunne ko
Aik kaan se andar doosri taraf se bahir
Yoon ehsaas e kamtari dou minute mein ghayab uhn
Jhaank andar
Silahiyat ka behta samandar
Himmat apni jhalke ke badan pe
Rehte zehni sakoon mein mast kalandar
(Iss zulm se larna hai tou)
Jhaank andar
(Uth baandh kamar kia darta hai)
Silahiyat ka behta samandar
(Phir dekh khuda kia karta hai)
Rehte zehni sakoon mein mast kalandar
(Iss zulm se larna hai tou)
Uth baandh kamar kia darta hai
(Iss zulm se larna hai tou)
Uth baandh kamar kia darta hai
(Iss zulm se larna hai tou)
Uth baandh kamar kia darta hai
Iss zulm se larna hai tou
Uth baandh kamar kia darta hai

Поcмотреть все песни артиста

Другие альбомы исполнителя

Похожие исполнители

Maanu

Исполнитель