Tu mere paas mujhe chahiye kiya aur? Thak gaya hu dekh ke ye paise ka daur Kasam se jab se ye meethi zaban kari Dekh raha in bacho kee aankho me chaur Aleem meri jaan me akela para hu Koi sunta nahi kese ab guzregi raat Ye us shaqs se tanhai ke baare me pooche Samandar kee lehro se karta hai jo baat Mere aks ne bataya tu aur chote khaega Abhi tere ye zakham gehre nahi hai Mene dekhi hai duniya me jhoot nahi bol raha Ek shaqs nahi yaha jis ke 2 chehre nahi hai Agar karta hai bharosa to baat meri maan Agar nahi to ek or mauqa de unko jaan Unhe bol mere raste me pathar hee pathar hai Dekhega tu bhi badalte insaan Ye baat sach ke me khush nahi hu Mere aas paas ghoom mat me kuch nahi hu Mujh se rishte nibhaata nahi koi bhi insaan Kyun ke rishte ke sath sath me dukh kahee du Aankhe batati hai tum nahi batate ho Parhta hu teri ye aankhe tabhee See how they portray me duniya ke aage Tu jaanti hai na wese to na the kabhi Mujhe mat bata kon kare baat mere kal kee Me chal chuka itna ke sab kee ab jalti Wo pooche ye duniya jaza ya saza hai? Me kehta ye duniya dawa mere dard ke Doosre sikhaate nahi tum kyu sikhaate ho In sab kee shayad mujh se hatti tabhee Me kya karu jo khayal hote band nahi ke Tu ne bhi marna hai kabhi na kabhi Khudgarzi mujhe leke doobe Khud galti, saza doosre kyu le? Chup karti nahi ye aankhe meri Mat bata sab ko hum kitne toote Mat bata sab ko hum pyaar ke bhooke Doobe jo aankho me phir girenge Nahi pata kab kaha kese kidhar Likin aaj nahi to kal hum phir milenge Hum phir dikhenge tujhe aasro pe Tum bhi to kabhi mere khaas hoge Zindagi maut ka waada nahi karta Iraada to kar tere sath hee honge Tujhe yaad hee honge mere qisse chaar And i dont even know ke tu kis par tha Pehchano mujhe nahi hu un me se mein Jo kotahiyon ko naam de de qismat ka No Need Shuru se ziddi the mindset hee aisa ke No Need Khud me hee magan hai parwah nahi kisi kee No Need Shuru se ziddi the mindset hee aisa ke No Need Khud me hee magan hai parwah nahi kisi kee