Aisay Kaisay Phir se tanhai agaye hai Aisay Kaisay Mann per yeh cha gaye hai Aisay Kaisay Meray paas kabhi na koi hai Aisay Kaisay Dunya mein khushiyaan nahi hain Aisay Kaisay Aaj wafadaar log nahi hain Aisay Kaisay Dunya mein aman ki kami hai Aisay Kaisay Mann mein raaton ko nami hai Aisay Kaisay Zindagi mein khushiyaan nahi hain Aisay kaisay hum bhool jayein Wo saray pal, jo beetay thay saath me Haadse hee honay thay baad me Haanptay teri talaash mai Saath Mai, Jo tu Jo saath tha Ab nahi samnay kaanptay Roshni ki aas main, Ghutti saansein Chutti patang, katti maanjein Khuwaishain hazaron par dil tau hai ek Yun mujh ko na dekh Tha mera qusoor k tujh se mai door Tha mera futoor ke ki thi umeeeed You won't see me begging You won't see me plead I am all that I need Par phir bhi mai tanha tarapta hoon Apnay hee kamray mai bhatakta rahoon Mai thak sa gaya hoon hai nuqsaan ye mera Ke apnay hee aks se mai chhup sa gaya hoon Yaksaan mai sab sa banta hee jaoon Aisay hee aisay mai dhasta hee jaoon Aisay kaisay marta hee jaoon Bikharta hee jaoon Aisay Kaisay Phir se tanhai agaye hai Aisay Kaisay Mann per yeh cha gaye hai Aisay Kaisay Meray paas kabhi na koi hai Aisay Kaisay Dunya mein khushiyaan nahi hain Aisay Kaisay Aaj wafadaar log nahi hain Aisay Kaisay Dunya mein aman ki kami hai Aisay Kaisay Mann mein raaton ko nami hai Aisay Kaisay Zindagi mein khushiyaan nahi hain Kiun tootay akelay, phasay hum jhamelay mein Andher raston mai dhoonday saveray hein Ghamon ke hein pheray jo mujh ko le gheray mai Jab apnay nahi tau kaisay hum teray hein Zakhm chuptay nahi itnay wo gheray hein Sayaah faam huay saray ye chehray hein Nakaam rehkar hum tau sab sehray hein Marmar ke gharon ki chahat thi Ye saa'aat kitni nahaq thi Chah kar bhi, kuch keh bhi nahi saktay hum Rakhtay hum, apnay ghum, kar ke dil pe jabar Karein rooh pe sabar, hai ye aisa safar Jis mai khaali hein ghar Hain ye aisa bhanwar Jis se niklay gein kaisay? Jis se nikleingay kaisay? Ek adad thori madad mujhay de do meri qadar Sari hadein karoon khatam, mai paoon apnay hadaf Mai too pooori karoon qasar, mujhay apni baat ka asar Mujhay maloom meray azam mainay khayi khud se qasam Mai nahi hoonga maddham Aisay Kaisay Phir se tanhai agaye hai Aisay Kaisay Mann per yeh cha gaye hai Aisay Kaisay Meray paas kabhi na koi hai Aisay Kaisay Dunya mein khushiyaan nahi hain Aisay Kaisay Aaj wafadaar log nahi hain Aisay Kaisay Dunya mein aman ki kami hai Aisay Kaisay Mann mein raaton ko nami hai Aisay Kaisay Zindagi mein khushiyaan nahi hain