Teri zulfon mein Aise uljha jaise Samundar kinaare Ret simat gayi haathon mein Ek khaamoshi hai Ek sabab hai Zulfein dekhun toh Sab jawab chhupayein hain Mann maayal hua Inn galiyon mein Sire se sira Talaash raha hun Chiragon mein Tujhse hai roshni meri Harr khushi tere Darr pe hai khadi Teri manzil nahi Tera hamsafar Bankar teri Zulfon mein ulajhna hai mujhe Inn nigaahon mein Khushi jhalakti hai Jab tere hontho pe Yeh hasi sajti hai Dur hua tujhse Par teri zulfon ke Iss safar mein mai Sahare chal raha hun Chiragon mein Tujhse hai roshni meri Harr khushi tere Darr pe hai khadi Ab kehkashaayein meri Teri zulfon mein hain samayin Dariya hi hun main shayad Behta jaun main aur tu hamraayi Ab kehkashaayein meri Teri zulfon mein hain samayin Dariya hi hun main shayad Behta jaun main aur tu hamraayi Karna chahun Tujhko main haasil Ab tu hi hai raasta Tu hi meri manzil Teri zulfon mein Aise uljha jaise Samundar kinaare Ret simat gayi haathon mein