Pighal gaya kaheein sooraj aasman mein Jahaan hai lapaayt mein surkh baadalo'n ke Pardo'n se dhakk di hain saari khidkiyan Kahein roshni nahi, bus jaltay dil ka dhu'aan Goonjtay hain sannatay Aahato'n se sehm jaata hai dil Iss kaanch ke pinjray mein jeena hai mushkil Din ke har pehr mein soch mein gum Haath pusht pe baandhay, bina saaye Nikal parra hun ik ajnabi shehr ki bheed mein Labo'n pe daastan liye, chaltay phirtay soch soch kar Shaam o sehr khwaabo'n ki lakeero'n se Siyaah kartay rahay sulaghti dewaarein Raat ke pehluo'n mein roz jaag kar Chup ka raaj ho har taraf, cheekhtay saaye Khamosh aankhein nazmein bunn kar Hisaab maangti hain tanhaiyo'n se Shaam o sehr khwaabo'n ki lakeero'n se Siyaah kartay rahay sulaghti dewaarein Goonjtay hain sannatay Aahato'n se sehm jaata hai dil Iss kaanch ke pinjray mein jeena hai mushkil