Aandhi chalti hai to kya Zindagi mein hawa to hai Raat andheri hai to kya Dil ka diyaa jala to hai Naachay bhook chaaro taraf Khoon ke ghoont mein pi gaya Girti hui dewaar ko ek dhakka aur do (aur do) Anaa ke sang-dil butto'n ko Khud haatho se torr do Safar lamba hai to kya Saathi teray aur bhi hain Raahein mushkil hain to kya Manzil nazar mein to hai Pyaas se sookhay lub huay Aankhon se aansoo bhi gaye Girti hui dewaar ko ek dhakka aur do (aur do) Anaa ke sang-dil butto'n ko Khud haatho se torr do Rok lo saaray lafz tum Muskuraahatein behnay do Suno kya keh rahi hai Sachai ko sach kehnay do Khoon mein doobay hain to kya Rago'n mein daurta to hai Girti hui dewaar ko ek dhakka aur do (aur do) Anaa ke sang-dil butto'n ko Khud haatho se torr do