Sirf hai Masih, Aasha Meri Jyoti, bal woh geet mera Woh neev hai, mzbut chataan Aandhi sukha ya toofaan Kya uncha prem, geheri shaanti Jahan bhai na ho, sangharsh bhi Sahayak hai, sab kuch mera Masiha ke prem mein main khada Masih Mera, Insaan bana Poorna Khudawand hai janma Dharmikta ka pyaara thofa Payee prem ke badle ghrina Jab kroos par Yeshu mara Tript ho gaya Krodh Khuda ka Har paap uspar dala gaya Yeshu ke mrityu mein main jiya Zameen mein gaada use Jag ka prakaash andhere mein Phir Mahima se, ujjwal din mein Jee uthaa kabra se, phir se Jaise khada, woh Vijay mein Shraap paap ka toota mujhpar se Main uska hoon, woh mera hai Masiha ke paavan rakht se Mrityu ka dar, na dosh hai Yahi toh Masih ka bal mujhme Pehle saans se aakhir talak Yeshu likhta takdeer meri Narak ki shakti, Na saazishein Un Haathon se mujhko, chuda payein Jab tak v'laute, ya mujhko