Chal mere saath hi chal ai meri jaan-e-ghazal In samajon ke banaye huye bandhan se nikal, chal Ham vahaan jaayen jahaan pyaar pe pehre na lagen Dil ki daulat pe jahaan koi lutere na lagein Kab hai badla ye zamana, tu zamane ko badal, chal Pyar sachcha ho to rahein bhi nikal aati hain Bijliyan arsh se khud raasta dikhlati hain Tu bhi bijli ki tarah gham ke andheron se nikal, chal Apne milne pe jahaan koi bhi ungli na uthe Apni chahat pe jahaan koi dushman na hanse Chhed de pyar se tu saaz-e-mohabbat-e-ghazal, chal Pichhe mat dekh na shamil ho gunahgaron mein Samne dekh ki manzil hai teri taaron mein Baat banti hai agar dil mein irade hon atal, chal