Hai meri zaat kya mujh ko kya yeh pata Shakal-o-surat pe likha hai kya Kyun kar main insaan, kaisey koi balah Main mouj-e-dariya, beparwah hoon sada ♪ Hai befikre mein kyun dooba saara jahaan Kispey bharosa, kiska gila Hai qaid duniya, fitrat hai mehruma Jhootha tassavvur sab ka yahaan Ya subhaan Ya hazoor ♪ Be-rang zahir, batin hai kyun siyah Bas ek takalluf, jayiz hai yeh khala Main soz-e-gul hoon, naghm-e-bulbul jawan Udta phiroon main, ghar mera asman Ya subaan Ya hazoor Mastaan, Mastaan, Mastaan, Mastaan ♪ Jee ne kiya jo main ghar sey chaldiya Fikron se gafil, moujon sa mai rawan Hai hukum-e-awwal, shahid hai ek khuda Awaz ka dushman na saki ka humnawa Kyun kar main insaan kaise koi balah Main mouj-e-dariya hoon sadah Kar tanz baaton pe Gar hosh hain maghroor yun Jeena yahaan pe marna yahaan Mastaan, mastaan, mastaan hoon main ♪ Mastaan