Chaahat toh tumse thi kaafi Par na bacha kuch yahan Kuch sookhi pattiyan aur kaante hain Dono hain khud se laapata Khair ab inhi kaanto pe chalna hai Mushkilein aayein ya dum ghut jaaye Hum saanso ko thaamein aur din dekh paayein Hum ghamo se khelein aur muskuraein Yaadein batorein un khato ko padhna hai Baatein jahan se thi shuru huyi Nazrein kahan fir hati bhi thi Ab nazron mein hum bure sahi Panne jo paltu mai aakhri Mujhe dikhti wo ek kitaab si Kuch panno pe mera naam abhi Wahi mere liye hain aakhri Aur baaki ki baatein hain raaz abhi Taara na kar paaya khwahishein poori Aur toota jo dil lage taare sahi ab Khush hai koi ye bahana sahi Doooor, tum mujhse Khafa toh, mai bhi hu khud se Doooor, tum mujhse Khafa hu mai bhi ab khud se Keemat teri na jaani maine ab Beparwahi ka afsos hai Qisse adhoore hum sunte sunaate Uss ek shab mein haan hum sogaye Maazi se ab hum dono pare hain Dil thoda mera bhi mehfooz hai Khwaabo mein gar tumne baahein khol di Teri baahon mein hum kho gaye Doooor, tum mujhse Khafa toh, mai bhi hu khud se Doooor, tum mujhse Khafa hu mai bhi ab khud se