Kishore Kumar Hits

Yashraj - Aatma текст песни

Исполнитель: Yashraj

альбом: Takiya Kalaam


Kar meri aatma salaamat
(Aatma salaamat)
Ghadi mehengi bura waqt
(Ghadi mehengi bura waqt)
Saari gumm kyu sharaafat
(Saari gumm kyu sharaafat)
Jhooti de Na salah mat
(Na Na)
Kar meri aatma salaamat
(Aatma salaamat)
Ghadi mehengi bura waqt
(Ghadi mehengi bura waqt)
Saari gumm kyu sharaafat
(Saari gumm kyu sharaafat)
Jhooti de Na salah mat
(Na Na)
Hosho aawaaz mein
Dil aur dimaag se
Karu na baatein wo hoga nai
Baithe the class Mein
Nazre thi kaanch pe
Naa jaane kisne kyu toka nai
Shaayad wo jaante
Laaya wo nabbe ke neeche toh sochega dabbe ke bahar
Zindagi kitne asaan thi
Tabse hi ankon se naap rahe ye insaan
Lade baat-te
Sote nai nai raatmein
Wo bole likha sabh
Mein bolu. likhte haath se
Faila andhera sarpe
Jaise chalte raat mein
Chaand se aankhein jaati bheeg uss barsaat mein
Sahi salaamati
Ye baatein na kahavati
Ye mushkile toh Draupadi ki saadi
Hoti na khatam kyu?
Zimmedaari
Hum Kahani ke vyaapaari
Chaahe hongi jebe bhaari
Jab haalaton hai madaari,
Fir kyu?
Bechu aatma
Mein khone ke bas darr mein rehta
Aae din wo jab dil pe na lage jo kehta
Kya jabhi gaadi hogi badi
Aur gale mein hongi chenein
Tum kahoge saala Beaton pe waise nai behta
Kya mujhe badalne ka mauka doge
Kya mujhe sambhalne ka mauka doge
Pyaar mera lauta doge!
Galti ki maafi nai maangta bas tum rehna saath
Taaki tum samjho kalaakaar bhi hai insaan!
Kar meri aatma salaamat
(Dil kholne ki aadat)
Ghadi mehengi bura waqt
(Harr ek bol hai bagawat)
Saari gumm kyu sharaafat
(Humein de Na saza mat!)
Jhooti de Na salah mat
(Na Na)
Kar meri aatma salaamat
(Aatma salaamat)
Ghadi mehengi bura waqt
(Ghadi mehengi bura waqt)
Saari gumm kyu sharaafat
(Saari gumm kyu sharaafat)
Jhooti de Na salah mat
(Na Na)
Kisi ne toh kaha tha ki
Zindagi mein "kala" hona bohot zaroori hai.
Hum sabh kalaakaar hai.
Par saala ye kalaakaari mein itne doob gaye ki
Ye zindagi chhoti lagne lagg gayi.
Aur aise doob gaye ki
Ye paani bas sar ke upar chadhe jaa raha hai,
Chadhe jaa raha hai
Chadhe jaa raha hai

Поcмотреть все песни артиста

Другие альбомы исполнителя

Ruh

2022 · сингл

Похожие исполнители

DRV

Исполнитель

Nanku

Исполнитель

Smoke

Исполнитель

Rawal

Исполнитель

Karun

Исполнитель