♪♪ Kya hai zaroori zyaada? Kala ki kalakaari Ya usse mile jo munaafa? Likhta mein baat saari khat mein Par milta na lifafa jispe likhu ek pata Aur sochu, bheju mein kahape? Beetein hue? Yaa aane waale kal ko? Dono ko mein ek hi baat bolu "Beta tu sambhal toh Aaj din nai hai tera par shaayad kal tera saal hoga Hari ghaas doosre ki, tera maal hoga!" Saal pe saal badhe Toh kaam bhi jaata dikh Mann mein khaab bade toh rukna kalpanik Aur dekhe poore scene ko bas, thoda sa door se Pehle hum bhi dekhte the jaise majboor the Ab ghoorte jaise yahake khooni ho Kaan pe jabh headphone toh kamra bhi studio Beat ke zamaane mein bolne ki jab khoobi ho Toh khelte nai dhaago haathmein jabh suli ho! (Give us what we need) Aana nai saamne Naadaani baadmein Kaam se kaam bata! Mein bolunga harr dafa Aana nai saamne Naadaani baadmein Kaam se kaam bata! Mein bolunga harr dafa Middle class ladka karta sabko school aaj Jo seekha meine sabse Gaano mein banta collage Ye badi tasveer nai Bas ek badi paheli Aur kyu mit-ti ye lakeeren Jabhi ghiste hum hateli! Bolte "Muthi mein hai duniya tere Par tere haath mein na kuchh bhi" Aisa bolte sabhi, jabhi bhi haarta mein Abhi bhi chont lage dadu ko toh wo bhi bina soche samjhe Jaake apni maa ko hi pukaarta hai Ye baatein ghoom firke aati parivaar pe Thode jo gharke andar hai thode jo gharke bahar hai Jo jaante wo jaante, mein naam aaj lunga nai Maa meri teacher! Shikaayat ka mauka dunga nai Doston ko bante dekha baap Meine Naukar ko bante dekha sahab Meine Fisalti neeyat logo ki toh mooh se nikle inke jhaag kaise Haan bolta saath de shuruaat se nahi toh fir bhaag yaha se! (Give us what we need) Aana nai saamne Nahi toh fir bhaag yaha se! Naadaani baadmein Nahi toh fir bhaag yaha se! Kaam se kaam bata! Nahi toh fir bhaag yaha se! Mein bolunga harr dafa Nahi toh fir bhaag yaha se! Aana nai saamne Nahi toh fir bhaag yaha se! Naadaani baadmein Nahi toh fir bhaag yaha se! Kaam se kaam bata! Nahi toh fir bhaag yaha se! Mein bolunga harr dafa Nahi toh fir bhaag yaha se! (Give us what we need) ♪♪♪