Takiya kalaam nahi mere paas Sirf Takiye ke paas kalam hai mere Roz maut se darta hu Par shaayad Ye sirf jeene ka bharam hai mere Karam ko mere mujhe karma se bachaana hai Khudke saare papon ko mujhe shabdon se mitaana hai Ye toh bahaana hai ki mein sirf khudke liye likhta hu Bas darr iss baat ka hai ki koi sunne waale nahi hai Toh kya badla? Mein Gadi kahaaniyaan sar mein hai chhed Naa ruke hai kabhi kaisi ye khed Yaa karoge bhed, yaa banoge bhed Aukaad se zyaada dikhega toh raid Pehle bas mein aur ye booth Haan sunenge log mein bana saboot! Mein Bambai ka ladka par Delhi nai door Haan khudko ilaakon mein baatu hi kyu? Ye mere sawaal Mere javaab Meri kahaaniya Mere hai khwaab! Ye mere hai log Jo dhoondhenge mujhe par paayenge khud ko aise ye bol, toh sunn