Jaga mein inn khwabon se Toh Tezi pakdi saanson ne Dekha Sab tha gayab Bas nafratein hawaon mein Dhul hi dhul har jagah Nai chalna hai saharon pe Mein likhdu aisa jisse Meri ginti ho sitaron mein! Sawal dhundne lage log in jawabon ne Ye haske dekhe dub ti kashti inn kinaron se Sapne bade ye pahadon se Haan kismat badalti iradon se, tu jaan le! Praman hai kala aur kala ki karu pehredaari Aelaan-e-jung mein farak nahi bhale mange maafi Jami hai mehfil toh acche se hogi khatirdaari Kalam-e-aashiq ne pesh kari dawedaari! Haan jaldi milna fal iss saburi ka Log faiyda utha gaye majboori ka Inko chadh gaya nasha sirf mashoori ka Mein toh beitha karta chill sirf masoori sa! Ye aadatein jo karwatein badal rahi hai Ye aankhon ki chamak ka karan sirf aur sirf nami hai Aaas pass Gehre raaz ke abhaas hai Na rakhta aas iss liye aaj sab sahi hai! Paise ki iss daud mein saans lena bhi gunah hai Karte dikhave pyar andar se nafrat doguna hai Mar-kat ki wardatein dikhti aaj kal boht Insaaniyat ko marte dekh aaj prakriti udaas hai! Aadhyatmik hai Baatein meri vastavik na kalpanik hai Ye taare aur marhawa si chandni hai Rooh tak jaate lavs mere satvik hai Soya nahi 7 weeks se! Ye gaane mein banata kyunki ye meri aaradhna Rehta hoon akele mein koi mere saath na Prarthna mein karta rehta hoti meri sadhna Jo kalam mein hai dhar woh talwar mein bhi dhar na! Jaga mein inn khwabon se Toh Tezi pakdi saanson ne Dekha Sab tha gayab Bas nafratein hawaon mein Dhul hi dhul har jagah Nai chalna hai saharon pe Mein likhdu aisa jisse Meri ginti ho sitaron mein! Sawal dhundne lage log in jawabon ne Ye haske dekhe dub ti kashti inn kinaron se Sapne bade ye pahadon se Haan kismat badalti iradon se, tu jaan le!