Munawwar Meri Aankhon Ko Mere Shamsud Duhaa Kar Dein Jahaan baani ataa kardein bhari jannat hibah kar dein Nabi mukhtaar-e-kul hein jis ko jo chaahe ataa kar dein Jahaan mein unki chalti hai woh dum mai kya se kya kar dein Zameen ko aasmaan kar dein suraiyyaa ko saraa kar dein Fiza mein urne waale yoon na itraa'e nida kar dein Woh jab chaahe jis-se chaahe us-se farmaa rawaa kar dein Meri mushkil ko yoon aasaan mere mushkil kushaa kar dein Har ik mauje balaa ko mere maula naa khuda kar dein Ataa ho bekhudi mujh ko khudi meri hawa kar dein Mujhe yoon apni ulfat mein mere maula fanaa kar dein Jahaan mein aam paighaam-e-shahe ahmad raza kar dein Palat kar peechhe dekhen phir se tajdeed-e-wafaa kar dein Nabi se jo ho beygaana usse dil se juda kardein Pidar maadar biraadar maal-o-jaan un par fidaa kar dein Munawwar meri aankhon ko mere shamsud duhaa kar dein Ghamon ki dhoop mein wo saaya-e-zulfe dotaa kar dein Kisi ko woh hansaate hein kisi ko woh rulaate hein Woh yoon hi aazmaate hein woh ab to faislah kar dein Gile taybah mai mal jaaoon gulon mai mil ke khil jaaoon Hayaate jaawidaani se mujhe yoon aashnaa kar dein Unhein manzoor hai jab tak yeh daure aazmaaish hai Nah chaahein to abhi woh khatm daur-e-ibtilaa kar dein Sa'ge aawaara-e-sehraa se uktaa si ga'eeduniya Bachaao ab zamaane ka sagaan-e-mustafa kar dein Mujhe kya fiqr ho akhtar mere yaawar hai woh yaawaar Balaaon ko jo meri khud giraftaare balaa kar dein