Ashoor ki shab karte thay ashab ye noha Hum kaise chale jaye tumhe chor ke maula Kooze liye haathon may hai masoom se bache In pyason ko pani ki badi aas hai humse Mar jayenge ye gar hamay jaate hue dekha Hum kaise chale jaye... Ashoor ki shab karte... Maana ke zaroorat nahi hazrat ko hamari Abbas sa bha hai hifazat ko tumhari Zehra ko magar phir bhi hai moo humne dikhana Hum kaise chale jaye... Ashoor ki shab karte... Aankhon may nazar aati hai bachi ki ghareebi Darti hai ke tanhai na badh jaye padar ki Aa aa ke hamay takti hai hasrat se sakina Hum kaise chale jaye... Ashoor ki shab karte... Jis roz se abaad kiya tumne ye jangal Ek bibi yahan roti hai raaton ko musalsal Lagta hai lehad chor ke khud aayi hai zehra Hum kaise chale jaye... Ashoor ki shab karte... Kya aalam e ghurbat nabizadi pe pada hai Kehne ki nahi baat magar humne suna hai Hai aap ki zainab ko bahot hum pe bharosa Hum kaise chale jaye... Ashoor ki shab karte... Seena ali akbar ka bahot choom rahe ho Jo tumpe guzarti hai wo maloom hai humko Hum log bhi to sahibe aulaad hai aaqa Hum kaise chale jaye... Ashoor ki shab karte... Akbar jo diye qaime may ghazi ne jalaye Tha aisa samaa sheh ke bhi aansoo nikal aaye Talwaar galay par rakhe har shaks tha kehta Hum kaise chale jaye... Ashoor ki shab karte...