Kishore Kumar Hits

Zoha Zuberi - Socha Hai Kya Kabhi текст песни

Исполнитель: Zoha Zuberi

альбом: Tassawur


Fakhar nahi karou
Khel hai ye samajh lou
Yahan jeetou ya nahien
Jana hai humne waheen
Jana hai humne waheen

Zra hou ya zameen
Khuwahish hou ya taqdeer
Samandar hou ya eik katra sahi
Jana hai humne wahein
Jana hai humne waheen
Socha hai kya kabhi
Bikharay gi jab ye zameen
Darakht, pahar, kainaat bhi
Khuch bhi na houga kaheen
Socha hai kya kabhi
Jana hai humne waheen
Alishaan tasweer hou tum
Ya urtay kaghaz ka jahaaz
Koi rutba yahan khuch bhi nahein
Jana hai humne waheen
Jana hai humne waheen
Socha hai kya kabhi
Bikharay gi jab ye zameen
Taray sab toot jaeinge
Khuwab phir rang na la paein ge
Socha hai kya kabhi
Jana hai humne waheen

Kiun nahi samajh pae hum
Ye duniya hai faani
Humaray hath hain khaali
Banday ka khayaal kar
Shaiyad baat ban jani
Socha hai kya kabhi
Jana hai humne waheen

Поcмотреть все песни артиста

Другие альбомы исполнителя

Jeem

2021 · Мини-альбом

Похожие исполнители

Rozeo

Исполнитель

RFB

Исполнитель