Don't give me love, I've had enough I need some trust, I lack it Don't give me love, I've had enough I need some trust, I lack it I have my reasons, I have my reasons Hope I can say it to you someday Don't give me love, I've had enough I need some trust, I lack it Aankhein khuli, uthta need se, yeh rooh kaanpe Bistar lagta kaffan, kaise lu saansein? Mehnat kiya, aur jo fal mila woh kadwa bohot Toh jalado baag, kis matlab ke yeh phool kaatien? Door bhaago sacchai se, mujhe kaayar kehlo Mere marne se pehle, ek aur shayar sehlo Ghayal rehne do main marham se bhi thak chuka Daag dikhe chamde pe toh peeda meri shayad samjho Agar maanga tune izzat, izzat haar gaya I put my heart on my sleeve aur dil barbaad gaya Kaatu dil aur nikle gaane, usse paise mil gaye Par kash in paiso se le paata dil har raat naya Kya main itna zyada alag hu in doosro se Cheekh lu bhale yeh baatein pohonchti nahi doosro tak Ya main itna zyaada aam ki Yeh cheekhein meri shor bankar kho jaati baki hazaar doosro sang? Mere khayal mere man pe kaafi bhari Aur is bojh ko hataade itna bhala yaha insaan nahi Balki insaano se hi door rehta aaj Saalo beete yeh samajhne mein ki bojh diya insaan ne hi Dil se chahta thodi nafrat seekh paaun taaki ghul saku Main baakiyo ke saath mein asaani se Dua yeh rab se mujhme itni nafrat bhar De taaki maan le insaaniyat ki har mehfil ka kaabil main Mere in gaano se bas yeh samjhana chahta ki hazaar dhoond le Na milna zeher tujhe nafrat sa Aur yeh nafrat tujhko tab tak degi maut jabtak samajh Na aajaye ki insaan roz mar sakta Rab tu un lachaaron ka khayal rakh jo maante Ki nafrat hi bas nafrat ka jawaab hai Kisi roz main fir neend se uthunga is yakeen se Ki jung meri nafrat ke khilaaf hai Don't give me love, I've had enough I need some trust, I lack it Don't give me love, I've had enough I need some trust, I lack it I have my reasons, I have my reasons Hope I can say it to you someday Don't give me love, I've had enough I need some trust, I lack it Nafrat ko tu door rakh Pyaar ko bhi door rakh Kisi pe bharosa mujhe nahi