Likhte waqt kyu haath mere kaapte Haan bikke yaha rakt kyu nahi maane jaate haadse Hai sab pareshan se Par khoobsurati ko kone kone Me khojna sahi maante Kya kare ham insaan hai Yaha sunte dekho dard ki pukaar sab ek kaan se Hai duje me airpods jo liye naye dukaan se Hamne bhi thaan liya ye ab aye sabke kaam me Toh bhardiye dard waale isme bhi khayal ye Ye jhol hai Dhong hai sab dikhawa Duniya me bohot kasht hai bhrasht Hai saare raja Jitna kare ye kamm hai bhrumm hai Jo dilasa diya jaraha hai Bhaiya nazar aa raha hai Paise pe let ke ek pet bhare jaraha hai Kaise gareeb ki plate me na padhta chara hai Jatate ye 100 me se baatke ek niwala aur Harkatein ye dekh ke shaitaan bhi sharmaata hai Nazaare Itne saare Road pe bache ghume bechaare Kismat ke maare Aankhein phaadh ke dekhein Gaadhi ko jaate aage Wait kare ki rok ke koi Chand change sheeshe ke bahar nikaale Dikhi ek gudhiya batti pe naachte Bhai saath me drum bajaate Hari batti hoke sab bhaagte Flyover ke neeche ghar basaate Sadhko pe bhi reh kar na milte raaste Desh me soch sasta Ameer bacha hasta Ungli de ke bolta usko chakka Ayi woh usse aashirwaad dene Jab woh tha bacha Fir bhi galat shabd woh bakta Bakchodi hogayi normalise Toh farak nahi padhta Me kon kiske baare me bolne waala Woh sahi nahi lagta Bas mere nazaare me koi sahi nahi karta Inki aankhon ko toh farak nahi padhta Mei maangu madad unka mann nahi karta Mei soch me phasa Aankhein band karke naa jee sakta Agar kuch nahi kar sakta Toh ladhta par Aadhe time mera bhi Naa kat ta hafta Aadhe time me bhi rehta khapa Soch na sakta ki woh kaha jaate Jinke liye duniye na banati jagah Kuch ke liye ye duniya saza