Maddham, chehre par Ek hasi si aati hai Teri baatein woh mujhe, Gudgudaati hain Teri zulfon ki khusbhoo Aise tadpati hain Teri aankhein sunehri Ab bhi sikhlaati hain Teri yaadon ki hitchki Mujhe ab bhi aati hai Yaadon ki hitchki Mujhe ab bhi aati hai Yaadon ki hitchki Kuch kehke jaati hai Yun toh kehne ko maine tujhe Dekha nahi jaane kitne saal Kya tu waisi hai jaise college mein thi? Ya ab chhote ho gaye tere baal? Kya farewell waali woh sari Tu pehan ke bahar jaati hai? Kya lunch mein tu ab bhi do plate Rajma chawal khaati hai? Kya tu ab bhi gaane Govinda ke Daaru peekar gaati hai? Kya tujhe bhi kabhi kabhi aise hi Meri yaad aati hai? Na time table na warning Koi khabar nahi Maih chahun ya na chahun, Koi fikar nahi Kabhi din mein toh kabhi raaton mein Koi sabar nahi Kabhi sapno mein kabhi baaton mein Koi fikar nahi Chattano, se lehrein Aise takraati hain Teri saanso, ki garmi Gaalo ko sehlati hain Boondein baarish ki Mitti mein ghulti hain Hoton ki narmi Hoton se milti hai Teri yaadon ki hitchki Mujhe ab bhi aati hain Yaadon ki hitchki Mujhe ab bhi aati hai Yaadon ki hitchki Kuch kehke jaati hai Yun toh kehne ko humne Socha kabhi tha yeh kai baar Dinner tu roz banayegi Subah ki chai main har baar Par pata nahi kyon ab tak fir Main single bed par sota hoon Har Sunday sham ko whirlpool mein Bas apne kapde dhota hoon Kya tere bhi room ke basin par Bas ek toothbrush rehta hai? Kya tera dil bhi kabhi kabhi Tujhko gaali deta hai? Kya tu saathi thi kuch raahon ki Humsafar nahi Ya tu manzil thi jo chhoot gayi, Bekhabar yoonhi Woh pyaar tha ya bachpana koi khabar nahi Bas kar jaati hain Besabar yoonhi Naha kar tera kitchen mein aa jaana Aakar mere haathon ko sehlana Bheegi un zulfo ki khushboo Saanso ko meri yaad hai Tera office mein hi mujhe lene aana Zindagi ko khwaab banana jaana Sadko par rang chadhati Shaamein woh mujhko yaad hai Teri yaado ki hitchki Teri yaado ki hitchki Teri yaado ki hitchki Mujhe ab bhi aati hai Teri yaado ki hitchki Teri yaado ki hitchki Teri yaado ki hitchki Ab bhi sikhlaati hai...