Bachpan se hum star hain dhiktey phir bhi garoor ni Industry bhi mangay ge kaam wo din bhi door ni Hum khud me rehtay lost phir tabhi ma shayad mashoor ni Thookta ni fame pe tera waisa main rude ni Kaam ka phir alag he noor hai parti dhoop jahan Sookhi roti dheki ni jisnay wo bolay bhook kya Jaan lalu lafzon sa apnay jani bandook kya Zehan mein jab bhara khazana to phir sandook kya High hokey likh diye rhymes main jaise ghalib hai Rappers ke dukanay band karra tu kitna zalim hai Paisa mera soch aur sath mera bhai shaleem hai Mic mein mazak aur rapper sub waise alim hai Sunna jab karachi ka hiphop tera bhai hazir hai Rap zinda kar ra par beat ka waisa katil hai Dhekay maine girtay falak se jo bantay shatir hai Milo kabhi streets mein dhekay kon kitna kabil hai Dasti Merko call kar topic jab Quaid-e-Azam hai Opposition kaam ni janti ya unpe lanat hai Wahid aisa likhta hu aur gaana tho meri addat hai Rupay ni tha sau mera paas ab jaib ma dollar hai Aj unki asliyat batatau jo bantay baller hai Fake jutay gaano ma pehnay aur nakli dollar hai Suna insey kaam ni hora hum likhtay foran hai Bolu ga hawam se sach ya mera honour hai Sunu teri baat pakora kya tu your honour hai Flow me mere takat to dhek jo badlay mausam hai Subko banna batman sher ya jaisa gotham hai Batayn jitnay kar raya hai naram wo jaise cotton hai Bachpan se hum star hain dhiktey phir bhi garoor ni Industry bhi mangay ge kaam wo din bhi door ni Hum khud me rehtay lost phir tabhi ma shayad mashoor ni Thookta ni fame pe tera waisa main rude ni Kaam ka phir alag he noor hai parti dhoop jahan Sookhi roti dheki ni jisnay wo bolay bhook kya Jaan lalu lafzon sa apnay jani bandook kya Zehan mein jab bhara khazana to phir sandook kya Bhirna maat tu sher se Meethay hai ye zayada bear se Flow badlu apnay gear se Bhitadu terko chair pe Baas abhi nikla hu jail se Milwata hu terko mayor se Sorry merko tere se Aya ma thori der se Kya tu peekey likhta hai ganay sub merko dhek reh hai Yaad karka homies jalaraha hu main apnay phapray Chamber kabi kheencha ni pistol ka sirf phankray Sust keera kataynga pechay sa salay kakday hain Baap ke khilaf maat jana mehnat kharab hogi Likhdunga jo maar k dum subki dawa hogi Badal dun ga lafzon ka khel apni pehchan hogi Yehi hongi sarkay aur public apni gawa ho gi