Aaj jaane ki zid na karo Aaj jaane ki zid na karo Youn hi pehlu mein baithe raho Youn hi pehlu mein baithe raho Aaj jaane ki zid na karo Haaye mar jaayenge hum to loot jaayenge Aisi baatein kiya na karo Aaj jaane ki zid na karo Aaj jaane ki zid na karo Tum hi socho zara kyun na roke tumhe Jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum Jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum Tumko apni kasam jaan-e-jaan Baat itni meri maan lo Aaj jaane ki zid na karo Aaj jaane ki zid na karo Waqt ki qaid mein zindagi hai magar Waqt ki qaid mein zindagi hai magar Chand ghariyaan yehi hain jo aazaad hain Chand ghariyaan yehi hain jo aazaad hain Inko kho kar kahi jaan-e-jaan Umr bhar na taraste raho Aaj jaane ki zid na karo Aaj jaane ki zid na karo Kitna masoom rangeen hain yeh sama Husn aur ishq ki aaj meraaj hai Husn aur ishq ki aaj meraaj hai Kal ki kisko khabar jaan-e-jaan Rok lo aaj ki raat ko Aaj jaane ki zid na karo Aaj jaane ki zid na karo Youn hi pehlu mein baithe raho Youn hi pehlu mein baithe raho Aaj jaane ki zid na karo Aaj jaane ki zid na karo