Na janay tu hai khoya kyun Hai gumsum, beeti woh kal Suno na, meri jaan Ye aankhon mein jo aansu tere Mann ki har ek khalish liye hain rawaan Suno na Hain kyun bata In saazishon se simat ke In raastoun pe bhatak ke In khuwahishon se lipat ke Roya hai kyun bata Sab kuch tere haath mein hai Ye nafrat teri zaat mein hai kyun Hai tanha tu kyun kharaa Raahain rokay teri ye jahaan Bhula ke chal de tu bhi duniya Yahin jeena seekhna hai Yahin pe hum hi ko hai marna Yahin har rang jhailna Kahani ye kis ki bunni hai Na teri na meri chuni hai Kyun, tu aise bikhraa hua Yunhi jalti aatish sa, ye jahaan Yahan teri meri ek si daastaan Janay kitna roya hoon mein Jaaga hoon na soya hoon mein Bhula ke chal de tu bhi Ye jahaan