Zahir Ki Aankh Say Na Tamasha Karay Koi Ho Dekhna Toh Deeda-e-Dil Waa Karay Koi Arr Baithay Kya Samajh Kay Bhala Tuur Par Kaleem Taaqat Ho Deed Ki Toh Taqaza Karay Koi Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon Bhikaari Wo Kay Jis Kay Paas Jholi Hai Na Piyaala Hai Bhikaari Wo Jisay Hirs-o-Hawas Nay Maar Dala Hai Mata-e-Deen-o-Daanish Nafs Kay Haathon Say Lutwa Kar Sukoon-e-Qalb Ki Daulat Hawas Ki Bhaint Chharwa Kar Luta Kar Saari Poonji Ghaflat-o-Isyaan Ki Daldal Main Sahara Lenay Aya Hoon Teray Ka'abay Kay Aanchal Main Gunaaahon Ki Lipat Say Ka'ainat-e-Qalb Afsurda Iraaday Muzmehal, Himmat Shikasta, Hauslay Murda Kahan Say Laoon Taaqat Dil Ki Sachhi Tarjumani Ki Kay Is Jhanjaal Main Guzri Hain Ghariyan Zindagi Ki Khulasa Yeh Kay Bas Jal Bhun Kay Apni Ru-Siyaahi Say Saraapa Faqr Ban Kar Apni Haalat Ki Tabaahi Say Teray Darbaar Main Laya Hoon Apni Ab Zabun Hali Teri Chaukhat Kay Laaiq Har Amal Say Haath Hain Khaali Yeh Tera Ghar Hai Teray Mehr Ka Darbaar Hai Maula Saraapa Noor Hai Aik Mohbat-e-Anwaar Hai Maula Teri Chaukhat Kay Jo Aadab Hain Main Un Say Khaali Hoon Nahin Jis Ko Saliqa Maangnay Ka Wo Sawali Hoon Zuban Gharq-e-Nadaamat Dil Ki Naaqas Tarjumani Par Khudaya Rehem Meri Is Zamanay Bay Zubani Par Yeh Aankhain Khushk Hain Yaa Rab Inhain Rona Nahin Aata Sulagtay Daagh Hain Dil Main Jinhain Dhona Nahin Aata Hai Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon