Kamaal ki baat hai Maal bhi saath tha Hum ladke nalayak hai Kisi se na vasta Gunaho ki ghadi mai Khud hi ko kaatu ye hadsa Dil mera kabse hai bhara Ab behtar mujhe na mile hai rasta Mai khasta Jaagta sochta Bhai ki sunu Par dil nahi manta Dil mai zakhm Hai bhare sitam Gam liye pita mai nachta Phir baitha hu rota aur laapta Gunaho ki yahi saza hai Talab na mite sila hai Dilli aur seena jala hai Duaon ki bachi dava hai Maanu na haar Par saha na jata Mukti ki kasar mai Dil hai chillata Jeeyu mai haarke Ya maru mai jaanke Samajh nahi aata Gharwalo ka gam hai satata Kali denali mai raja Bechaini bani baithi aka Dil tuta baitha mai ranjha Jeeyu agar chahe khwaja Apno ne mujhe sambhala Phir bhi na bacha mai sala Likha na jaye mai aalsi Lage sataye har aadmi Lada mai khudse Aur hara bhi Dhadkanein tez hoti jaa rahi Bhari jo aakhein hai laal si Khud ko mai roku aur chahu bhi Gunaaho ki mehfil hai aaj bhi Tanhaayi yun sar pe hai nachti Chillata akela aur saans nai Jaane do mukti bula rahi Gunaho ki yahi saza hai Talab na mite sila hai Dilli aur seena jala hai Duaon ki khatam dava hai Gunaho ki yahi saza hai Talab na mite sila hai Dilli aur seena jala hai Duaon ki khatam dava hai