Sapna jahan dastak na de Chaukhat thi woh aankhein meri Baaton se thi tadaad mein Khamoshiyan zyaada meri Jabse pade tere kadam Chalne lagi duniya meri Mere dil mein jagah Khuda ki khaali thi Dekha wahan pe aaj tera chehra hai Main bhatakta huaa sa ek baadal hoon Jo tere aasmaan pe aake thehra hai Tu rooh hai toh main kaaya banu Taa-umr main tera saaya banu Keh de toh ban jaaun bairaag main Kehde toh main teri maaya banu Tu saaz hai, main ragini Tu raat hai, main chandni Mere dil mein jagah Khuda ki khali thi Dekha wahan pe aaj tera chehra hai Main bhatakta huaa sa ek baadal hoon Jo tere aasmaan pe aake thehra hai Hum pe sitaaron ka ehsaan ho Poora, adhoora har armaan ho Ek dusre se jo baandhe humein Baahon mein nanhi si ik jaan ho Aabaad ho chota sa ghar Lag na sake kisi ke nazar Mere dil mein jagah Khuda ki khaali thi Dekha wahan pe aaj tera chehra hai Main bhatakta huaa sa ek badal hoon Jo tere aasmaan pe aake thehra hai