Ahankhar nahi sapno me abhi saas hai Mujhe pyaar nahi ye aaj bhi sawaal hai Sahara bani bethi murda ek misaal hai Sheesha keheta gayaab abhi bhi lihaaz hai Libaaz geene chune insaan ki tarah Geere aasu jinpe thande kisi laash ki tarah Sanaata rehta dafan raaz ki tarah Ubhre asthiyo se kabhi neeli shaam ki tarah Ye jo aasmaan hai dikh rahaaaa Isko chuune ka kya mann huaa Mera bhi hua tha jeene ka banaya falsafa Par pahuncha kaha hun abtk mujhe uska bhi to nahi ptaaaa Par kyun? Mai puchta khud se hun Ki kyun hi chalta hun kabhi Rukne ki wajah mai ab dhundta kyun nahi hun hun Ye jo aasmaan hai dikh rahaaa Kya wo jeene ki to nahi wajaah Maine pucha apne aap se kya zinda hun ya ji raha Bas jine ko ya mar chuka ye mujhko bhi to nahi pta Par haan shayad mujhme kami Mai dekh kyun nahi paata Apne se bhi to mai ab mai rukna nahi chahta.chahta.haan Ye jo asmaan hai dikh rahaaaa Wahi pahunchna kya ptaaaa To lagaya zor khole par aur ud gya mai yun Ki dikhna nahi hai bas na mujhse puchna ab ye kyun? Par haan! Ab baitha hun jahan dekhu sara jahan khud pe na hai Guman ab mai sabkuch jeet aya! Aayaaa Ab mai sabkuch jeet aaya... Aayaaa Ab mai sabkuch jeet aaya... Aayaaa Nakli sitare upar, chaand ko naarazgi hai Maine satah mein rah ke, khud ki talash ki hai Lalach bhi lazmi hai, bhuk nahi aashiqi hai Pagalapan bol, mehnat bina kya aadmi hai Raat ko jaan di hai, Deewanapan Aisa Duniya nahi jaanti hai, hoga zamana mera Kalam se khodke, kar diya ye panna gehra Ab dekhte hai rahega tu kabtak behra Garibi sirf kahani nahi, ye Dard hi deta maksad Suna ghar se aksar, galat hai tere lakshan Mannmaani bas kar, par mann Marta lad kar Kisi ko bhi na khabar, inn dhuno ke bina kabar Daftar mein na daffan, ye shabdh hi mere kafan Bhale hi meri Lash pe hi gire sare dhan ab Rahu Na ghum ab, Every verse is a one up Living by my word, so my words really live up