Ye dooriyaan Jo tere mere darmiyaan hain Kyu hoti kabhi kam nahi Ha maana hum paas hai Par saath hum nahi Jo aankho mein tu rahi Toh ankhein hain nam kahi Kyu aankhon se jaati kabhi Barsaat tham nahi Ye dooriyaan... Haan... Ye dooriyaan... Haan... Kya farak hai tujhme aur sitaaro mein Dono ho meri aankho ke saamne Dono ko chhu bhi nahi hu paata main Dono se mere kaafi hain faasle Rone se nahi suljhengi baatein ye Roko bewajah aana yu paas mein Pehle ek thi manzilein Ab woh bhi nahi saath hi badle hain raaste Kyu rahein hum khudke khafa? Kyu ho na sake hum juda? Kyu seekhe jeene ke tareeke? Jab jeena hi hai ek saza Tu hi bata Kyu tere saath Rehna raha hai mumkin nahi? Kya reh paunga main tum bin kabhi? Afsos hai dono ko Par kyu koi pehle maangega maafi Ab jo hua jaane do Kyu barbaad karein waqt jo bhi bacha hai baaki Ab juda hone ko Do dilo darmiyaan hain dooriyaan kaafi Aaj vahi meri jaan le Jo kabhi meri jeene ki wajah thi Ye dooriyaan Jo tere mere darmiyaan hain Kyu hoti kabhi kam nahi Ha maana hum paas hai Par saath hum nahi Jo aankho mein tu rahi Toh ankhein hain nam kahi Kyu aankhon se jaati kabhi Barsaat tham nahi Jab tu mere dil mein hi nahi hai Toh fir juda hona hi sahi hai Yahi toh batati humein yeh dooriyaan Zindagi saza ban gayi hain Raahein bhi juda ho rahi hain Yahi toh batati humein yeh dooriyaan