Rooh-e-Shabbir Wo Manzar To Bata Jab Huwee Shehr-e-Madina Sey Judaee Ho Gi Yeh To Zainab Hee Bata Sakti Hai Laut Kar Kese Madinay Main Who Aee Ho Gi Kar Kay Rozay Kee Taraf Chehra Yeh Bolay Shabbir Ham Rahain Ya Na Rahain Nana Huzoor Hashr Tak Aap Kee Ummat Kee Bhalaee Ho Gi Laash Akbar Kee Utta Laeye Jo Khemon Main Hussain Shehar Baano Hee Bata Sakti Hai Kis Ghazab Kee Wo Qayamat Thi Jo Tootti Ho Gi Jalte Khemon Main Julasti Huwee Sughra Masoom Aey Falak Tu Nay Yeh Kese Dekha Turbat-e-Zahra Madinay Main Dehelti Ho Gi Rakh Kay Laashon Ko Kitaron Main Yeh Bolay Shabbir Tu Jo Raazi Hai To Ham Raazi Hein Sar-e-Tasleem Kay Teree Yehi Marzi Ho Gi Ho Kay Tayyaar Chale Shah Jo Karbal Kee Taraf Yeh Sakina Ko Koi Ja Dekhe Kis Tarha Gohrray Kee Taangon Sey Wo Lipti Ho Gi Noor Ko Hashr Main Rakna Hai Sagon Main Shabbir Teree Raahon Main Para Ho Ga Kaheen Aas Ik Nazr-e-Inaayat Kee Lagaee Ho Gi