Kaun heh eh sarware deen, teray jaisa koun hai? Juztay resham, suduha ki, shaan wala koun hai? Yeh to hai aaqa tumharay naam hi ki barkatein Hum faqeeroon ko wagarna bheek deta koun hai? Tu kareem e do jahan hai mein faqeer e na taman Tujh sa data koun hai ore mujh sa mangta koun hai? Sadqa apnay ladloon ka aik rehmat ki nazar Rehmatoon walay Nabi mera sahara kon hai? Laj walay laj rakhna tera kehlata houn main Mujh say baykas benawa mangtay ka data kon hai? Haath say daman na chootay Mustafa ki aal ka Is gharanay kay ilawa, mera tera koun hai? Yaad ker Zahid makan say lamakan ka woh safar Kis ka dam sidra pay touta, aagay pounhcha koun hei? Panjtan ka naam lewa houn koi mujrim nahin Duniya walo unsay aala unsay acha kon hei? Naam lewa houn Nabi ka ore Nabi ki aal ka Koi batlaye Niyazi mujh say acha kon heh? Milad Raza Qadri