Kishore Kumar Hits

Rosha - Maqsad текст песни

Исполнитель: Rosha

альбом: Dukh / Sukh


Naam ke lie hu zinda
Chahta khud se hu milna
Kalam bana saath mera
Dene ko bacha hai dil na
Koi nahi saath aur koi nahi paas mai
Kalam hai yaar aur mai likhta kaali raat mai
Khushi ujala toh aaj ban gaya
Raakh mai
Kore se kagaz beshaq bepaak se
Lafz nahi aam ye
Samajh jazbaat ye
Baatein fizool nahi
Likhta nahi khaakh mai
Choti si umar mai
Maine ni dekha zyada
Ek ek kadam chalta zindagi ka pyaada
Chalta akela nahi milta koi sahara
Mehnat ka ye paani khaara
Par mai peeta hi jaara
Saara ka ye saara
Mehant karu din mai raat mai
Na karwat wishawas
Mera khud pe na sapno mai salwat
Dekho niche se toh bada lagta parwat
Sehme sehme dil ko bolu chote ab tu darr mat
Thaani pehle se hi toh ab na shaq kar
Maa baap ko hai deni thodi khushi
Bas chota sa ye mera maqsad
Bas chota sa ye mera maqsad
Naam ke lie hu zinda
Chahta khud se hu milna
Kalam bana saath mera
Dene ko bacha hai dil na

Поcмотреть все песни артиста

Другие альбомы исполнителя

Похожие исполнители

RSHN

Исполнитель

Nanku

Исполнитель

Alboe

Исполнитель

A-Gan

Исполнитель

Rawal

Исполнитель

Karun

Исполнитель