Aye Shaam e ghareebaan
Behti rahi furaat...
Khoon hokar behgaya akbar ka dil,
Behtiiii rahi furaat,
Muskura kar khatm asgher hogaye,
Behti...
Karbala ke dasht me aisa andhera chagaya,
Agai shaam e ghareeban surq hai khaak e shifa,
Jal gaye khaime sar e shaam e aalam,
Kitne manzar khaak hokar rehgaye,
Behti...
Dhalgaya din shaam aai shaam bhi aisi ke buss,
Dopehar ke baad chai aisi tanhaai ke buss,
Kistarha zehra ka ghar loota gaya,
Kistarha be sarr 72 hogaye,
Behti...
Aaj subhe dumm ye ghar roshan bhi tha aabad bhi,
Sabbke waris thay salaamat bhai bhi aulaad bhi,
Ik hawa aisi chali pardes me,
Bezubaan bache bhi be sarr hogaye,
Behti...
Ye hai vo shaam e ghareeban jo qayamat bangai,
Duqtar e zehra ke sarr se jisne chaadar cheen li,
Ya rasool allah qayamat hogai.,
Daaqil e qaima sitmagarr hogaye,
Behti...
Ek ek qatre ko tarse bun me atfaal e hussain,
Mashk zakhmi khaali koozay laash paamal e hussain,
Rehgaya maidaan me bekass ka tann,
Jashn me masrroof lashkar hogaye,
Behti...
Marte dum pani pisar maange padar majbur hai,
Tu bata shaam e ghareeban alqama kya door hai,
Wah re nehr e alqama behti rahi,
Aur pyase qatl akbar hogaye,
Behti...
Hai vahi manzar vahi qaime vahi tashnalabi,
Aai hai shaam e ghareeban khoon rulaane aaj bhi,
Gham humein rehan o sarwar kyu na ho,
Mehwe maatam jab payambar hogaye...
Behti rahi furaat...
Khoooon hokar behgaya akbar ka dil muskura kar khatm asgher hogaye...
Behti rahi furat...
Поcмотреть все песни артиста