Goonjti fazaaen hai, maatami sadaaen hai. Jis taraf nazar daalein qaafle hazaaron hain, Yaa hussain yaa hussain x4 Qaaflon k seeno mei, Dard ke safeeno mein, Ashq o khoon ke dhaare, door tak alam saare, Yaa hussain yaa hussain x4 Yeh karrodh haan insaan, Dekh toh Ali ki jaan, Tere gham mei hai giryaa Inki karbala manzil Hai hateliyon par dil Jhel kar har ek mushkil Ek sada labo'n par hai Tera gham rhe aabaad AYE HUSSAIN ZINDABAAD x6 Yaa hussain yaa hussain x4 Maulaana Yaa Hussain x6 Zindabaad Yaa Hussain x2 Zindabaad arze karbala... Maulaana Yaa Hussain x6 Deen e haq ka paasbaa'n Rasool e haq ka tarjuma Hussainiat ka saayebaa'n Mohabbato'n ka aashiyaa'n Tu nabi ka zeyro zayn hai Tu Ali ka noore ain hai Fatima ke dil ka chayn hai La ilaah... YAA HUSSAIN Deen panaah ... YAA HUSSAIN Hussssssaaaiinnnn Zindabaad Yaa Hussain x2 Zindabaad arze karbala... Maulaana Yaa Hussain x6 Salaam shaahe karbala Tu iraada e khuda Bada bulanddd hauslaa Nahi hussain doosra Kabhi kahin na tera sar jhuka Balandd tha balandd yeh sar raha Hussain izzaton ka baadshah Marhaba ... YAA HUSSAIN Chha gayaa ... YAA HUSSAIN Zindabaad Yaa Hussain x2 Zindabaad arze karbala... Maulaana Yaa Hussain x6 Pukaare ahle qaafla Hussain ne jo yeh kaha Safar hai ab yeh maut ka Har ek rafeeq bol utha Nahi hai koi maut ka khatar Hussain hai jab apna humsafar Ajal milaaye humse kya nazar Rehnuma ... YAA HUSSAIN Peshwaaa... YAA HUSSAIN Zulmato'n se jung ki Biddato'n se jung ki Nafwato'n se jung ki Munafiqo'n se jung ki Tu nizaame inqelaab hai Tu payaame inqelaab hai Tu imame inqelaab hai Inqelaab ... YAA HUSSAIN Kaamyaab ... YAA HUSSAIN Watan se apne door tha Tu marge bekasoor tha Ghamo se choor choor tha Magar woh kya shahur tha Sitam uthake hosh mei raha Naheef hoke josh mei raha Lahoo se sukhr posh mei raha Josh kya ... YAA HUSSAIN Hosh kya ... YAA HUSSAIN Woh saara ghar luta gaya Woh khoon mei naha gaya Sina pe sarr bhi aagaya Magar woh deen bacha gaya Gawaahi de rhi hai karbala Hussain Kaamyaab ho gaya Yazeed ka nishaan bhi na raha Soorma ... YAA HUSSAIN Har jagah ... YAA HUSSAIN Laraz rahi thi karbala Tadap rahi the ambiya Jo sajda aakhri kiya Nibha ke waada e wafa Na zeen na zameen par raha Gawaah hai dua e naahiya Tadap rahe hai hujjat e khuda As salaam ... YAA HUSSAIN Yaa imam ... YAA HUSSAIN Rehaan-o-sarwar e aza Hussain ka hai maujiza Jo inke darr pe aagaya Misaale hur sawar gaya Pukaarti hai sabko karbala Hussain ka hai darr khula hua Fakir ko kare jo baadshah Rab tera ... YAA HUSSAIN Sab tera ... YAA HUSSAIN