Kishore Kumar Hits

Nusrat Fateh Ali Khan - Mangte Hain Karam текст песни

Исполнитель: Nusrat Fateh Ali Khan

альбом: The Definitive Collection, Vol. 2


Mangte Hain Karam Un Ka Sada Maang Rahay Hein
Din Raat Madinay Ki Dua Maang Rahay Hein
Mangte Hain Unke Mangte Hein
Husn Pay Jin Ke Jag Matwala
Naam Hai Jin Ka Qamli Wala
Hum Un K Mangte Hain Mangte Hain
Sanad Joh Rakhtay Hein (Sanad = Qualification)
Mehshar Mein Mo Dikhanay Ki
Hum Un K Mangte Hein
Naaz Jiss Baat Pay Hai
Woh Baat Yeah He Hai K
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein
Hum Hein Ghulaam (Ghulam = Slave)
Un Ki Ghulami Pay Naaz Hai
Mangte Hein Un K Mangte Hein
Dozakh Nai Hum Ko Daikh K
Malik Say Kaha Ay Malik Chor
Un Ke Mangte Hein Un K Mangte Hein
Nigaah-E-Karam Say Hum Ko Na Daikh
Ay Dozakh Kia Pata Nahi K
Hum Kiss K Mangte Hein Mangte Hein
Ay Daikhnay Waloon Hamein Hans Hans K Na Daikho
Kia Pata Nahi K Hum Kiss K Mangte Hein
Mangte Hein Un K Mangte Hein Mangte Hein
Mangte Khaali Haath Na Lotay, Kitni Mili Khairat Na Poocho (Khairat = Charity)
Un Ka Karam Phir Un Ka Karam Hai, Un K Karam Ki Baat Na Pocho
Un Ke Mangte Hein Un K Mangte Hein
Mangte Hein Karam Un Ka Sada Maang Rahay Hein
Din Raat Madinay Ki Dua Maang Rahay Hein
Kam Maang Rahay Hein Na Siva Maang Rahay Hein
Jaisa Hai Ghani, Waise Ataa Maang Rahay Hein (Ghani = Opulent, Rich)
Mangte Hein Karam Un Ka Sada Maang Rahay Hein 10: 00
Jaisa Hai Ghani
Aisa Hai Ghani Woh To Aisa Hai Ghani
Khud Bheek De Aur Khud Keh Mangte Ka Bhala Ho
Zara Unka Dunya Mein Rehna To Daikho
Woh Pathar Ka Tak'kia Aur Kaali Kamarya
Woh To Aisa Hai Ghani
Zamane Ka Data Magar Ghar Mein Faqa
Khudai Ka Malik Magar Pait Khaali
Woh To Aisa Hai Ghani
Koi Mere Mehboob Sa Dunya Mein Nahi Hai
Betha Hai Chata'ii(Rug/Mat) Pay Magar Arsh-E-Nasheen Hai
Woh To Aisa Hai Ghani
Jaisa Hai Ghani Waise Ataa Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Un Ka Sada Maang Rahay Hein
Her Naimat-E-Qonain Hai Daman Mein Hamare
Hum Sadqa-E-Mehboob-E-Khuda Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein
Yoon Kho Ga'ay Sarkaar Ke Altaf-O-Karam(Kindness) Mein
Yeh Bhi To Nahi Hoosh Ke Kia Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein
Ey Dard-E-Mohabbat Abhi Kuch Aur Fusuun? Ho 16: 00
Dewanay Tarapnay Ki Ada Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein
Sirkar Ka Sadqa(Alms) Meri Sarkar Ka Sadqa
Yeh Zameen Aasmaan Yeh Makaan LaMakaan
Meri Sarkaar Ka Sadqa
Dono Jahaan Ka Noor Mohammad Ke Roop Mein
Qur'an Ka Sha'oor Mohammad Ke Roop Mein
Allah Ka Zahoor Mohammad Ke Roop Mein
Such Hai Ke Yeh Taghayyur-E-Dunya Khuda Se Hai
Laikin Yeh Kainaat Faqat Mustafa Say Hai (Faqt = Only)
Meri Sarkaar Ka Sadqa
Sirkaar Ka Sadqa Meri Sarkaar Ka Sadqa
Mohtaaj-O-Ghani Shah-O-Gada Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein
Ub Laaj Tere Haath Hai Ey Rehmat-E-Qounain (Laaj = Modesty)
Ghum Ke Maarey Hein, Be-Sahare Hein
Kuch Bhi Hein Aaqa Hum Tumhare Hein
Ub Laaj Tere Haath Hai Ey Rehmat-E-Qounain
Mudfun Ko Madinay(Medina) Mein Jaga Maang Rahay Hein (Madfun = Tomb)
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein
Asraar Karam Ke Faqh? Un Per He Khulay Hein
Koi Data Bana, Koi Khuwaja Bana, Koi Ghous Bana,
Koi Dehli Mein Ja Ke Nizami Bana, Koi Ganj-E-Shakar Ba Khuda Ho Gaya
Asraar Karam Ke Faqt? Un Per He Khulay Hein
Jo Tere Waseelay Say Dua Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein
Damaan-E-Amal Mein Koi Neki Nahi Khalid
Bus Naat-E-Mohammad Ka Sila Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein
Din Raat Madinay Ki Dua Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka...

Поcмотреть все песни артиста

Другие альбомы исполнителя

Похожие исполнители