Bhool Jaon Mein Zamane Ka Gila Ae Saqi Haan Pila Aur Pila, Aur Pila Ae Saqi Baandh Kuch Aissi Mohabbat Ki Hawa Ae Saqi Phir Badal Jaye Zamane Ki Fiza Ae Saqi Khanakte Jaam Ka Mauhtaj Mein Nahi Saqi Teri Nigah Salamat Mujhe Kami Kya Hai Mere Saqi Yeh Tamasha, Tere Maikhane Ka Jhoom Kar Ayi Hai Padmast Ghata Ae Saqi Iss Nakami Ka Na Reh Jaye Gila Ae Saqi Jaam Par Jaam Diye Ja, Tere Maikhane Ki Khair Saqi Teri Ho Khair, Tere Maikhane Ki Khair Gila Nahi Jo Guraizaan Hain Chand Paimane Teri Nigah Salamat Hazar Maikhane Sari Mehfil Ko Nasha Ek Hi Paimane Ka Ab Kissi Taur Se Qaboo Mein Nahi Aane Ka Falak Daikhe Gi Tamasha Tere Deewane Ka Baat Kehta Hai Kuch Aissi Ke Na Samjhe Koi Ye Bi Ek Gaur Talab Rang Hai Deewane Ka Chashm-e-Saqi Hai Udhar Aur Mera Dil Hai Idhar Aaj Takrao Hai Paimane Se Paimane Ka Baat Saagar Ki Chale Zikar Ho Paimane Ka Wo Bahar Ayi Naseer Aur Wo Uthe Badal Baat Saagar Ki Chale Ziker Ho Paimane Ka Mere Saqi Yeh Tamasha, Tere Maikhane Ka