Na tu butkade ki talab muje Na hi haram k dar ki talash hai hai Jahan lut gaya hai sukoon-e-dil Usi Rah guzar ki talaash hai Tu Haram main jis ko hai dhondhta Muje butkade(بت کدے) main wo mil gaya Tuje kia malaal(ملال) hai zahida(ذاہدا) Yeh nazar nazar ki tlash hai Muje Sab Qabool falak magar Gham e dost(غم دوست) muj se talab na kar Isi kaise dil se juda karun Meri umar bhar ki talaash hai Ae Tabib Chor yunhi muje Main Mareez-e-Ishq Hun, La dawa (اے طبیب چھوڑ یونہی مجھے میں مریض عشق ہوں لادوا) Yeh Hain Ishq Ishq Yeh hai Ishq Ishq Ishq ki Chot(چوٹ) ka dil pe asar ho to sahi Kam ho ya ziada ho magar ho to sahi Yeh hai Ishq Ishq Yeh hai Ishq Ishq Majnun Nazar Ati hai Layla nazar ata hai Wahshat main har ek naqsha ulta(الٹا) nazar ata hai Dekho yeh hai ishq ishq yeh hai ishq ishq Wadi-e-Najd(وادی نجد) se phir kar jo hawa ati hai Qais ke rone ki ab tak yeh sada ati hai Dekho yeh hai ishq ishq yeh hai ishq ishq Ka'aba main gaye ham par na gaya buton(بتوں) ka ishq Is rog ki khuda k ghar main? nahi Kafir-e-Ishq huwe to sanā bhool gaye Naam-e-but yad raha Naam-e-Khuda Bhool gaye (Asad)