Fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye Zid na keejiye janaab pii leejiye Fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye Zid na keejiye janaab pii leejiye Fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye Zid na keejiye janaab pii leejiye MaikashoN mujh tak ye ghanghor ghatayeN aayiiN Tum pe rahmat hu'ii, taubaa pe balaayeN aayiiN MaikashoN mujh tak ye ghanghor ghatayeN aayiiN Tum pe rahmat hu'ii, taubaa pe balaayeN aayiiN Fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye Zid na keejiye janaab pii leejiye Pii leejiye Jhuumtii Qiblaa se ghanghor ghataayeN aayiiN haiN Sharaab to pii leejiye Sheikh jii thoRii sii pii lo aaj to Kaun dekhegaa andherii raat hai Muskuraao bahaar ke din haiN Gul khilao bahaar ke din haiN Mai nahiiN to ashq-e-gham hi sahi Pii bhi jaao bahaar ke din haiN Jaa ke dil sad baaraa sii lo Kuch der to beKhudii meN jii lo KyuuN hazrat-e-zaahid hai tahammul itnaa MaiKhane kii Khairaat hai pii lo Aage chal kar hisaab honaa hai Is liye be-hisaab pii leejiye Do-do qatre haiN jaam ke andar Kar ke zer-e-niqaab pii leejiye Fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye Zid na keejiye janaab pii leejiye Jo piye chhup ke vo munaafiq hai Be-takalluf sharaab pii leejiye Dil kaa shiisha hai aur Khuluus ki mai Ab to aalii-janaab pii leejiye Jaavidaanii suruur aayegaa Aasmaanii gulaab pii leejiye Aap aur itnii zid "Adam" saahab Harj kyaa hai sharaab pii leejiye